Share this

rTMS ya repetitive transcranial magnetic stimulation ek naya treatment method jisko depression, OCD aur kayi mansik bimaroyon ke treatment ke liye use kiya jaata hai.

Depression ke kayi patients medicines aur counselling ke baad bhi theek nahi ho paate. Aise patients ke liye rTMS ka treatment use kiya ja sakta hai. 

rTMS ka treatment depression mein kaise use kiya jata hai-  

rTMS ke procedure me ek electromagnetic coil ka use hota hai jo brain ke areas ko magnetic stimulation se stimulate karti hai. Stimulation regular intervals par di jaati hain, isliye isse repetitive TMS, ya rTMS kehte hain. rTMS ek non-invasive aur painless tareeka hai.

rTMS benefits & rTMS treatment – Research ke anusaar rTMS ka use depression ke treatment me kia ja skta hai, jo ki FDA approved tareeka maana gaya hai. Depression ke cases me ye suggest kia gaya hai ki antidepressant medicines ke sath rTMS ka use kia ja skta hai. OCD ke treatment me bhi medicines ke sath sath rTMS ka use karne se benefit milta hai. Smoking reduce karne ke liye bhi rTMS ka use kia ja skta hai. 

rTMS ke liye kisi tarah ke anaesthetic ya sedation ki zarurat nahi hoti. Sath he rTMS ke memory ya thinking ability par koi adverse effects nahi hote hain. 

rTMS side effects- Side effects ki baat karein to kuch cases me headache, scalp discomfort aur facial muscle twitching jaise common side effects ho sakte hain. Ye side effects generally mild hote hain aur treatment session ke kuch samay baad theek ho jaate hain.